Tuesday, February 23, 2010

Some Interesting Fact (Shero Shyaraye)



Yeh jo haseeno ke baal hote hai
ladko ko fasaane ke jaal hote hai
na jaane kitno ke khoon piye honge inhone
tabhi to haseenaon ke honth laal hote hai



             _*_




Life is a challenge
Never appose it 
Always fight with!  


              -*-


Love is not 2 forget but 2 forgive 
 Not 2 c but 2 understand
 
 Not 2 hear but 2 listen
 
 Not 2 let go but HOLD ON !!!!
 



                 -*-


 First u think 
 then u say.


          -*-
जो  जितना जोर  से गिरता है I
  वह उसकी दुगनी जोर से उठता  है I
        
          - *  -
















खूब सूरत हो तुम |
 बड़ी नाज़ुक हो  तुम |
शायद बड़ी नज़ाक़त से बनाया होगा रबने   तुम्हे |
खूबसूरती की इन्तहा हो तुम |



       -*-


फूलो को महकना सिखाने चले  |
कैसे चले ये हवाओ को रुख बताने चले  |
हम तो बहाना ढूँढ़ते है दोस्तों पर मर मिटने का |
और दोस्त है के हमें दोस्ती सिखाने चले  |



         -*-


एक वडा था मेरे हर वादे के पीछे |
मैं मिलोंगा तुझे हर गली हर दरवाज़े के पीछे |
पर तुने मुर कर नहीं देखा !
एक और जनाज़ा था तेरे जनाज़े के पीछे |



         -*-














इस  दुनिया  में  कौन , कब , कहाँ
किसी  के  साथ  रह  पता  है  |
जो  होता  है  दिल  के  करीब  जितना
उतनी  ही  दूर  चला  जाता  है |



          -*-














WO NAHI MERA MAGAR USSE MOHABAT HAI TO HAI
YEH AGAR RASMO RIVAJO SE BAGHAWAT HAI TO HAI
SACH KO MAINE SACH KAHA, JAB KEH DIYA TO KEH DIYA
AB ZAMANE KI NAZAR MEIN YE HIMAQAT HAI TO HAI
DOST BANKE DUSHMANO SA VO SATATA HAI MUJHE
PHIR BHI US ZALIM PE MARNA APNI FITRAT HAI TO HAI
KAB KAHA MAINE KE WO MIL JAYE MUJHKO
USKI BAHON MEIN DUM NIKLAY ITNI HASRAT HAI TO HAI
SAATH HAI JAB WO MERE TO MAIN ZINDA HU
MERI SAASO KO USKI ZAROORAT HAI TO hai. 


              _*_

Ek ladki hai anjaani si
sab se kuch alag jaisi
Hasti hai to lagti hai
mano kisi pari jaisi
nazro me shararat hai
itraati hai har adaa uski
wo kaun hai kya kahu tumse
Aaine me aks dekh lena 
wo lagti hai bilkul wisi.


        _*_

ye pyar ka hai hissa, jurm-e-wafa hai shayad
ankhon mein mere jaana thodi si jo nami hai
jis ke sahaare ki thi tameer dil ki duniya 
deewar pyar ki woh hum pe hi gir gayi hai
tanhayi mein kata hai apna tamam jeevan
moula ki hum se shayad koi ye dil lagi hai
hur shaks bo raha hai nafrat ke beej is mein
duniya se phir gila hai ulfat ki kyun kami hai
tum ne muaan us pe takiya kia wafa ka 
jis ne dagha ki dolat duniya mein baant di ha.



            _*_


Shaam - e Furqat Dhale Hum Nahi Chahte
Ghum Se Fursat Mile Hum Nahi Chahte
Phir Naya Waar Sehne Ko Tayyar Hain
Tu Pareshan Rahe Hum Nahi Chahte
Aaj Ansoon Bahane Se Mat Rookiye
Aaj Barish Thamme Hum Nahi Chahte
Hum Tere Baad Ujade Hue Theek Hain
Ab Kahin Dil Lage Hum Nahi Chahte
Kis Qadar Dil Nasheen Hai Yeh Mojon Ka Shor
Ghum Ka Dariya Ruke Hum Nahi Chahte
Is Qadar Pyar Se Tu Pukara Na Kar
Aag Dil Ko Lage Hum Nahi Chahte.



           _*_



KUCH PAL JO BAKI HAIN AB MUJHE DEDO
KUCH BATEIN JO BAKI HAIN AB MUJHE KEHDO
JO BATEIN ZUBAN SE NA KEH PAAYE
WO BATEIN AANKHON SE AB MUJHE KEHDO.



           _*_


ZINDAGI MEIN HUMESHA KAMI TUMHARI MEHSUS HUI
KABHI KAM TOH KABHI JYADA MEHSUS HUI
SOCH HI RAHE THE KE KUCH KAHEN TUMSE
AUR BAS USSI PAL PICHHLI KAHANI MEHSUS HUI.



          _*_



Jab bhi dil me aapki khushi ki dua aai hai
is dil ne sachi khushi paai hai
Darr lagta hai kahi chot na aaye aapke dil ko mere lafzon se
Kyuki aapki khushi me meri khushi samai hai.



      _*_



Meri Ankhon Se Kabhi Utro Mere Dil Mein
Main Dhadkan Mein Basa Loon Tumko
Jaan Se Badh Kar Chahoon Tumhein
Apni Zindagi Hi Bana Loon Tumko
Mere Khwabon Mein Sirf Tumhi Baso
Apni Neendon Mein Saja Loon Tumko
Logon Ki Bhid Mein Kho Na Jao Kahin
Zamane Se Chura Loon Tumko
Meri Tanhai Ko Zaroorat Hai Tumhari
Gar Ijazat Ho To Yaadon Mein Bula Loon Tumko.



      _*_



Agar phoolon me madhu na hota
to khaali khushbhoo pe bhanvre nahi aate
agar mujhme pyaar nahi hota
to khaali lafzon se shaayri nahi aati.



         _*_



Gar majburi na hoti to 
Tumhe koi paigaam nahi bhejta
Tumhare khuda se baat karne ka tum toh ek zariya ho 
Kyuki mai apne khuda se ab baat nahi karta.



      _*_


Zindagaani ye haari hai,intazaar pe vaari hai
Chahat mein sanam teri ek umr guzaari hai
Kyu mujhse khafaa ho tum, kyu dil se juda ho tum
Main kasam uthaati hoon, ki mere khuda ho tum



    _*_



Teri chahat ne mujhe achha sila diya
mili maut mujhe aur tune kafan diya
ab is zindagi se koi shikwa nahi
is tanhai me tu naa sahi tera ashiq bana diya.



   _*_



Hum kisi ko rulate nahi or bhulate bhi nahi
hum to wo shaks hai jo un rasto se gujarte hi nahi
hum bas wo paigaam dete hai aapke liye
ke hum dost to bahut bana lete hain
par unke saath kabhi chhodte nahi.



   _*_



Mila nahi ab tak wo
jise main khwabo me talash karta hu
phir bhi raat bhar usike
khwabo me duba rehta hu
yahi hai shayad pyar ka asar
isliye dinbhar itna khoya rehta hu.


   _*_



Jinke Raste Ke Har Patthar Ko Hum Hatate Chale Gaye.
Unki Insaniat To Dekho Wo Hamein Thokar Lagake Chale Gaye.



     _*_



Chirag jal uttha mohabaat ka mere dil mein
Is asar se kahin bujh na jaye guroor mera
Hai jo guroor mujhe apne dil ke na lagne ka
Rooth mohabaat mein kahin toot na jaye guroor mera.


























     _*_























Aaj meri manjil to sirf tumhari talash me hai
aaj mera dil to bas tumhare intezar me hai
kis kadar pyar ho gaya aap se 
jo dur reh kar bhi apki muskan mere hothon par hai.



    _*_



aankhe kholu to tumse nazar mil jati hai
sapna dekhu to tumhari surat aa jati hai
kabse kho gaya hu main aapke pyar me nahi pata
par dil se punchu to bas tumhari hi sadaa ati hai.



    _*_




tumhari hasi se chand bhi sharamaa gaya
tumhari khushbu se phul bhi murjha gaya
kis jahan se aaye ho tum
jo dekhte hi mujhe tumpe pyar aa gaya.



    _*_



Na shikayat aur na shikwa karenge
na ghum se kabhi khudko ruswa karenge
khamosh palkon pe jab koi sapna toote
bus chupke se is dil ko tanha karenge.



    _*_



Hum khade the unke raahon me
Lekin wo us raah se nahi gujre
Jab hum chale gaye is duniya se
To usi raah pe aake hame pukarte rahe



  _*_



Na hi wo apani apman jhele
Na hi wo kisi ke dilon se khele
Log kehte hai ki abhiman hai usme
main kehta hoon ki swabhiman hai usme
Uski ada hai sabse nirali
Padti hai sab par bhaari 
Par zindagi me kabhi bhi na hari
Aisi hai dost hamari



  _*_



Unke chehre ko dekh kar hum machalne lage
Unki aankhon ko dekh kar hum behakne lage
Kaash wo ho jayein sirf mere
Ye hum din raat rab se kehne lage



  _*_


Pyar ke liye rishto ki jarurat nahi hoti
Baat ke liye shabdo ki jarurat nahi hoti
Dil ki baate jo tum samajh jaate 
Aankho ko aansuo ki jarurat nai hoti



 _*_



Teri aankho me hume jane kya najar aaya
teri yaadon ka dil pe surrur hai chhaya
ab humne chaand ko dekhna chhod diya
aur teri tasvir ko dil me chhupa liya



  _*_



Jab aaye mujhe aapki yaad
Dil bas kare ek hi fariyaad
Duniya ki har khushiyon se bhari hui
Main du aap ko ek aur saugaat



  _*_


Meri suni aankhon ne unka intzar bahut kiya
Mere is dil ne unko pyar bahut kiya
Mar jau unko ek baar dekhne ke baad
Aisi dua maine rab se bahut baar kiya



  _*_



Ye kaali raat ka andhera
Ab toh aa bhi ja savera
Main fir se ho gaya hu akela
Dil ke har kone mein
Ab toh bas hai tera hi basera



  _*_



Ik bewafa se jaane kyo wafa kar raha hu main
Uski ibadat kar ke khuda ko khafa kar raha hu main
Ek baar me maut gawara nahi mujhe
Kishto me khudkashi kar raha hu main
Kab tak rahunga kaid me ab to rihai de de
Khud apni ruh ko jism se juda kar raha hu main
Jhakhm mere dil ke ab nasur ho gaye hai
Nashtar laga ke dil pe dawa kar raha hu main



  _*_



Likhna kaise chhod du ye meri kahani hai
Kagaz kalam meri hai jo uski diwani hai
Har safhe ko choom ke hawa ne ye kaha
Choom lene de kahani mujhe usko sunani hai